chaaragar ne khel ulTa kar diya

chaaragar ne khel ulta kar diya
ek purana zakhm gahra kar diya

us ne bhi puchha nahin phir kya hua
mukhtasar hum ne bhi qissa kar diya

zahr se labrez is mahaul ne
aansuon ka rang nila kar diya

ab hamein rone ki aazadi mili
qahqahon ne kaam aadha kar diya

aaine mein bhi nazar aata hai tu
kya mujhe bhi apne jaisa kar diya

dekh murshid ne tere bimar ko
qul huwallah padh ke achchha kar diya

kya ghazab ki hai teri kuza-gari
kaise kaison ko hi kaisa kar diya

jis ki lau se jal gaya mera makan
us diye ne to andhera kar diya

main to ek insan hun majbur hun
tu khuda hai tu ne ye kya kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close