aankhen nam hain surat pe gham tari hai

aankhen nam hain surat pe gham tari hai
kis ko rukhsat karne ki tayyari hai

kaun tumhaare dukh mein hissa-dar bane
sab ka apna dukh hai aur wo jari hai

matam karne wale logon mein dekho
kitna gham hai aur kitni gham-khwari hai

sab ke is mein apne apne khane hain
zehn purani yaadon ki almari hai

ro dene mein kitni mehnat lagti hai
hans dena to chehre ki fankari hai

aasani se apni baaten kah dena
ye bhi achchhi khasi ek dushwari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close