chaaragaron ne bandh diya mujh ko bakht se chhanw mili na mujh ko dua ke darakht se baitha tha main hisar-e-falak mein zamin par dushman ne fath khinch li meri shikast se main bhi to tha farefta khud apne-ap par shikwa karun main kya dil-e-nargis-parast se girya ki saltanat mujhe degi shikast kya chhini hai main ne zindagi pani ke takht se harf-e-dua pe gosh-bar-awaz ho wo kyun dil se kalam hota hai maston ke mast se hamd-o-sana sukhan ka nahin dil ka hai riyaz kaise sana karun main dil-e-lakht-lakht se ahl-e-khirad ise na samajh paenge 'faqih' kuchh masale hain mawara fath o shikast se