chaaron jaanib aaine hain bolta koi nahin de raha hun dastaken dar kholta koi nahin ek yaqin-o-be-yaqini ka khala hai darmiyan log bahre ho gae ya bolta koi nahin garm aawazon ki rut mein kitne jharnon jaise nam wo nahin to kan mein ras gholta koi nahin ghonsle ujde the ek din aandhiyon mein aur ab khwahish-e-parwaz mein par tolta koi nahin jugnuon ko qaid se aazad kar deta hai wo shakh-e-shab par jab sitara dolta koi nahin kaun kis ko jaanta hai aainon ke shahr mein hum wo patthar hain ki jin ko molta koi nahin ye to bas hum ne ganwae ret mein gauhar 'kafil' khak mein warna to moti rolta koi nahin