dhalte hue suraj ke sahaare nahin lete chahat mein kabhi dhup kinare nahin lete apne hi dar-o-baam ki tazin ki khatir aghyar ki basti se ishaare nahin lete jal jaane ka andesha jinhen hota hai lahaq wo phul se hathon mein sharare nahin lete barfab mein rakhte hain jo khwabon ke nasheman wo log kabhi chand sitare nahin lete kab tak koi khwahish ke khilaunon se bahalta phat jaen to bachche bhi ghubare nahin lete jitna bhi hai khashak ko mitti se sharaf hai darwesh kabhi mahl-manare nahin lete achchha hai 'kafil' aankh ke manzar abhi dekho dam todti lahron ke nazare nahin lete