chaaron jaanib mausam-e-gul hai pagal yaaden tanhai

chaaron jaanib mausam-e-gul hai pagal yaaden tanhai
man sagar mein jag uthi hain guzri raaten tanhai

main sochon ki jhil kinare aas jazire dekh rahi hun
sarkash maujen harf gharaunde meri ghazlen tanhai

tu utre zakhmi suraj ki kirnon ko taswir kare
main lafzon mein bandh rahi hun sari shamen tanhai

dast-e-saba ne phir se mere daman mein mahka di hain
chatki kaliyan bhini khushbu teri baaten tanhai

ab bhi teri yaadon mein misl-e-charaghan raushan raushan
sath nibhane ki wo teri sari qasmen tanhai

shayad 'farrukh' in chidiyon ki qismat mein hi likha hai
budha bargad dhalte sae phaili shakhen tanhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close