war aur phir war kis ka aap ki talwar ka

war aur phir war kis ka aap ki talwar ka
ab rafu mushkil se hoga zakhm-e-daman-dar ka

khun rona be-gunahi par teri talwar ka
aur hans dena hamare zakhm-e-daman-dar ka

kis qadar lapka hai chashm-e-shauq ko didar ka
ban gaya tar-e-nazar aakhir tasawwur yar ka

sej par guzri magar guzri shab-e-wasl is tarah
chutkiyan leta raha dhadka firaq-e-yar ka

rashk-e-dushman hi se bhadki aatish-e-ishq-e-habib
phul ki waqat badhata hai khatakna khar ka

jao apni rah lo qatil yunhi hote hain kya
aaj tak tum ko na aaya bandhna talwar ka

dil hamara aap hi badh kar nishana ho gaya
tir chalne bhi na paya tha nigah-e-yar ka

qatl-gah mein kaam kar jata hai tera bankpan
war ho jata hai har andaz mein talwar ka

badh gaya teri khachawat ka yahan tak to asar
mujh se ab khinchta hai saya bhi teri diwar ka

dard-e-ulfat ko chhupaya raaz-e-ulfat ki tarah
wah kya kahna hamare zakhm-e-daman-dar ka

pas to aao tumhein kya khae jata hai 'farogh'
jaan-e-ashiq wo to bhuka hai faqat didar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close