chaaron jaanib pagal-khane lagte hain mausam aise hosh udane lagte hain malba girne lagta hai sab kamre ka jab teri taswir jalane lagte hain ghabra ke is daur ke wahshi insan se diwaron ko raaz batane lagte hain aankh utha kar jab bhi dekhun pedon ko mujh ko mere dost purane lagte hain zehn mein mazi jab bhi ghumne lagta hai aankh mein kitne aansu aane lagte hain dil ke hathon ho ke hum majbur sada armanon ki lash uthane lagte hain patthar jaisi duniya hai khud-gharzi hai us ko kyun kar dard sunane lagte hain sath mere wo mil kar chand sitare bhi hijr mein tere nir bahane lagte hain yar 'nabil' unhen main jitna bhulta hun mujh ko yaad wo utna aane lagte hain