samajh ke hur bade naz se lagai chot jo us ne aaina dekha to khud hi khai chot nazar ladi jo nazar se to dil par aai chot gire kalim sar-e-tur aisi khai chot labon pe ban gai missi jo dil par aai chot jagah badal ke lagi karne khud-numai chot bade dimagh se mara nazar se jab mara bade ghurur se aai jo dil par aai chot kisi ka tur pe nikla hai hath parde se bada maza ho kare gar teri kalai chot ye daud-dhup ladakpan ki yak qayamat hai ki thokaron se qayamat ne khub khai chot abhi uthi na thi nichi nigah zalim ki tadap ke dil ne kaha wo jigar pe aai chot jo aae hashr mein wo sab ko marte aae jidhar nigah phiri chot par lagai chot jo dil ka aaina mal mal ke hum ne saf kiya phisal phisal ke tumhaari nazar ne khai chot cluff nahin hai nishan hai ye chand-mari ka hamare chand ne lo chand par lagai chot ghash aa raha hai mujhe zikr-e-lan-tarani se lagi hai dil pe mere lo suni-sunai chot rukenge kya kaf-e-gustakh dast-e-rangin se kahin na khae tera panja-e-hinai chot dil-o-jigar ko bata kar wo lotna mera wo puchhna tera kis kis jagah par aai chot mariz-e-hijr ye samjha jo chamki charkh pe barq ye aag senkne lai shab-e-judai chot uthe tadap ke uthe to gire gire to mare phadak ke rah gae wo chot par lagai chot padegi aah jo meri khulenge band-e-qaba shab-e-visal karegi girah-kushai chot gira hun khuld se lanka mein pahle tur pe baad jahan jahan main gaya sath sath aai chot wo jhank jhank ke ladte hain mujh se ye kah kar jo hum ne war kiya tum ne kyun bachai chot jo dard dil mein utha un ki yaad khich aai dikhati hai asar-e-jazb-e-kahrubai chot utha utha ke dil-e-muztarib ne de tapka gira gira ke mujhe chot par lagai chot nigah-e-shokh se jis dam nigah-e-shauq ladi bada hi lutf raha ye gai wo aai chot lagai us ne jo thokar to ji utha 'mail' nikal ke jaan phir aai kuchh aisi khai chot