chaaron taraf hai khun ka dariya chadha hua kashmir sar-zamin-e-muqaddas rodesia chae ki pyaliyon se uthegi nai mahak be-barg tahniyon pe naya rang aaega jine ki ek umang jo kal thi so ab bhi hai marne ka waqt aaj bhi hai kal bhi aaega patto mujhe lapet lo apni ridaon mein main wo darakht hun jise kuchh bhi nahin mila shishon ki tarah tut gain sab haqiqaten patthar pighal ke bahne laga injimad ka