kal us ke nek banne ka imkan bhi to hai mujrim zarur hai magar insan bhi to hai chehra hasin wo dushman-e-iman bhi to hai lekin nashat-e-ruh ka saman bhi to hai ghurbat ki thokaron mein jo pal kar jawan hua tufan ke ru-ba-ru wahi chattan bhi to hai kal tak uthi thin jis ki sharafat pe ungliyan apne kiye pe aaj pasheman bhi to hai hun apne doston ki nigahon mein mohtaram mujh ko mila khulus ka wardan bhi to hai qurbat hai us ki wajh-e-qarar-o-sukun magar us ka shabab hashr ka saman bhi to hai samjha gaya hai jis ko sharafat ka pasdar baatin mein bad-shiar wo shaitan bhi to hai qatil tu ghar pe kaise kahun main bura bhala izzat-maab hai mera mehman bhi to hai 'nayyar' junun-e-shauq mein ruswa hua to kya us ki alag samaj mein pahchan bhi to hai