chaaron taraf kuchh diwaren si rahti hain aahon mein lagi

chaaron taraf kuchh diwaren si rahti hain aahon mein lagi
meri mitti tere ghar ki gahri buniyaadon mein lagi

chup ki chadar odh to li hai panw chhupen sar khul chae
mahrumi ki dhup na jaane kab se aawazon mein lagi

un se zulmat-e-dasht muqaddar aur siyah na ho jae
chhod na deta chand kirnen tum apne khwabon mein lagi

mujh se mere apne log bhi rahte hain begane se
mere nam ki kaun si tohmat un ke andaz hun mein lagi

is mausam mein dali dali barf ke itne phul khile
rang-o-tapish se mahrumi ki shakh mere jazbon mein lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close