wo uthe to bahut ghar se apne mere ghar mein magar kabhi aa na sake wo nasim-e-murad chale bhi to kya ki jo ghuncha-e-dil ko khila na sake shab-o-roz jo rahte the pesh-e-nazar bade lutf se hoti thi jin mein basar ye khabar nahin ja ke rahe wo kidhar ki hum un ka nishan bhi pa na sake ye mere hi na aane ka sab hai asar ki raqibon se dabte ho aath pahar mere haal pe chashm-e-karam jo rahe koi aap se aankh mila na sake kiya jazba-e-ishq ne mere asar rahi ghairat-e-husn pe un ki nazar pas-e-parda sada to sunai mujhe magar apna jamal dikha na sake raha shohra-e-'ishq ka yan mujhe dar unhen apne parae ka khauf-o-khatar rahin dil hi mein hasraten donon taraf jo main ja na saka to wo aa na sake wahi dil ki tadap wahi dard-e-jigar hua tauba-e-'ishq ka kuchh na asar teri shakl jo aankhon mein phirti rahi teri yaad bhi dil se bhula na sake hai khuda ki janab mein subh-o-masa yahi 'akbar'-e-khasta-jigar ki du'a ki hamare siwa but-e-hosh-ruba koi sine se tujh ko laga na sake