chadhi tere bimar-e-furqat ko tab hai bashiddat qalaq hai nihayat tab hai mariz-e-mohabbat tera jaan-ba-lab hai tajahul sitam hai taghaful ghazab hai wo aafat hai aafat hai aafat hai aafat ghazab hai ghazab hai ghazab hai ghazab hai gali yar ki hai qadam rakhkhun kyun-kar chalun sar ke bal yan maqam-e-adab hai jo abru dikhaya to aariz bhi dikhla wo quran hai ye hilal-e-rajab hai hui subh-e-piri kati ab jawani ye jalna faqat shama-san shab ki shab hai wo zulf-e-siyah hai ki mushk-e-khutan hai nahin khat sawad-e-dayar-e-halab hai khula kuchh na mujh par na aane ka mansha jihat kuchh to farmaiye kya sabab hai jo shajara tha majnun ka shajara hai mera jo tha qais ka silsila wo nasab hai ghanimat samajh waqt-e-fursat ko ghafil na hath aaega phir ye mauqa jo ab hai khuda ki khudai ka jalwa hai o but ye husn-e-jawani nahin shan-e-rab hai karun kyun na saman-e-ishrat muhayya shab-e-wasl-e-dilbar urusi ki shab hai jise log kahte hain shah-e-khurasan wo be-shubah ibn-e-amir-e-arab hai ghulam us ka hun jo hai kausar ka saqi jabhi 'rind' mai-khwar mera laqab hai