sirf mere liye nahin rahna tum mere baad bhi hasin rahna ped ki tarah jis jagah phuta umr-bhar hai mujhe wahin rahna mashghala hai sharif logon ka surat-e-mar-e-astin rahna dili ujdi udas basti mein chahte the kai makin rahna mar na jae tumhaari phulwari qarya-e-zakhm ke qarin rahna muskuraata hun aadatan 'aslam' kaun samjhe mera ghamin rahna