chadhte hue dariya ki alamat nazar aae ghusse mein wo kuchh aur qayamat nazar aae gum apne hi sae mein hain hat jaen to shayad khoya hua apna qad-o-qamat nazar aae kya qahr hai har sine mein ek hashr bapa hai ik-adh gireban to salamat nazar aae kuche se tere nikle to sab shahr tha dushman har aankh mein kuchh sang malamat nazar aae hum kaise ye samjhen ki pasheman hai qatil chehre pe na jab harf-e-nadamat nazar aae hum morid-e-ilzam samajhte rahe un ko dekha to 'raza' hum hi malamat nazar aae