rang-e-nazar se husn-e-tamanna nikhaar ke baithi hun aaj kakul-e-hasti sanwar ke guzri hun main nafas ki kashakash se jis tarah dhaaron se lad rahi thi kisi aabshaar ke panw ke aablon se na puchho safar ka haal qisse hain dardnak rah-e-khar-zar ke daur-e-khizan gaya na gaya is se kya gharaz manzar jama liye hain nazar mein bahaar ke waqt-e-sahar hai garche ujala abhi nahin ye jal rafta rafta khulenge khumar ke wo aa rahi hai dur se khurshid ki kiran 'shahin' dar khule hain mere intizar ke