chah mein us ki dil ne hamare nam ko chhoda nam kiya shaghl mein us ke shauq badha kar kaam ko chhoda kaam kiya zulf dupatta dhani main kar ke pinhan mera dil bandh liya said na khawe kyun-kar jal jab sabze mein pinhan dam kiya ram par apne aahu-e-dil ko ghurra nihayat tha lekin chanchal aahu-e-chashm ne us ko ek nigah mein ram kiya samjhe the yun hum dil ko laga kar pawenge yan aaram bahut haif usi fahmid ne hum ko kya kya be-aram kiya hum ne kaha jab naz-e-butan ke tum to bahut kaam aae 'nazir' sun ke kaha kya aae ji han kuchh but ke muafiq kaam kiya