kisi din to hamara dard-e-dil soz-e-jigar dekho kabhi to bhul kar aao kabhi to puchh kar dekho na dekho dost ban kar tum to dushman ki nazar dekho khafa ho kar bigad kar ruth kar dekho magar dekho nahin bharti tabiat lakh dekho umr-bhar dekho khuda ki shan hai aise bhi hote hain bashar dekho kisi ko jab se dekha hai dikhai kuchh nahin deta hui meri nazar ko dosto kis ki nazar dekho tarasti hain ye aankhen dekhne ko dil tadapta hai ziyaada se ziyaada mukhtasar se mukhtasar dekho muqaddar se nibhi tum ek goya bhole-bhaale the koi zalim se zalim fitna-gar se fitna-gar dekho kahi hain ham-nashino dil-lagi mein tum ne jo baaten unhen sach-much pahunch jae na ye jhuti khabar dekho phir us par nukta-chin hai nukta-dan hai shaikh logon mein anadi padh raha hai dukht-e-raz ko dukht-e-zar dekho koi betab koi mast koi chup koi hairan teri mahfil mein goya ek tamasha hai jidhar dekho tumhaari bazm baat insaniyat ki phir raqibon mein bhare hain aadmi ki suraton ke jaanwar dekho na ho jo banda-parwar bandagi ko bandagi us ki janab-e-dil khuda rawaq koi aur ghar dekho nahin az-ru-e-qanun-e-mohabbat jurm-e-nazzara to phir kyun hain janab-e-dil agar dekho magar dekho use dekha hai jis ke dekhne ko log marte hain nazar bazu hamari bhi zara hadd-e-nazar dekho safi' ko shairi se mil gai har-dil-azizi bhi darogh-e-maslahat-amez bhi hai kya hunar dekho