chaha hai ajab dhang se chahat bhi ajab hai mahbub ajab hai ye mohabbat bhi ajab hai pallu mera thama hai kai bar khirad ne par in dinon jazbon ki baghawat bhi ajab hai jakda hai teri yaad ne afkar ko mere hamdam tere jazbaat mein shiddat bhi ajab hai qurbat ke hasin phul meri ruh pe ware kya khub sakhi hai ye sakhawat bhi ajab hai ek aariz-e-gul par jama shabnam sa wo qatra kirnon se zara qabl rifaqat bhi ajab hai lahja tera dhakka hua lagta hai ghazab ka ghusse-bhare lahje mein hararat bhi ajab hai chehra tera tapta hua dikhta hai tapish se masti-bhare nainon mein shararat bhi ajab hai bazi kabhi haari nahin zalim ne ana ki chaalen bhi ajab us ki siyasat bhi ajab hai khud qaid-e-wafa kat ke di us ko rihai 'bano' ye tere dil ki adalat bhi ajab hai