parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi badal gaya hai magar wahshaton ki khu hai wahi wo shahr chhod ke muddat hui chala bhi gaya had-e-ufuq pe magar chand ru-ba-ru hai wahi zamana lakh sitaron ko chhu ke aa jae abhi dilon ko magar hajat-e-rafu hai wahi qarib tha to sabhi us se be-khabar the magar chala gaya hai to mauzu-e-guftugu hai wahi