chahaar samt se kal tak jo ghar damakta tha hum aaj sair ko nikle to bas kharaba tha na jaane kis liye aankhen dikhain suraj ne hamari aaankhon ne bas khwab hi to manga tha darakht gahre tanaffus mein hain larazte hain sawar abr liye bijliyon ka koda tha hamare hath mein tuta hua hai aaina sarapa tha to bhala kaisa wo sarapa tha uthae phirte the shanon pe aap apni lash wo log kaun the kya jurm un ka thahra tha