aaqil hai ba-shuur hai kafi zahin bhi is par hai mustazad wo az-had hasin bhi bosa kisi bhi phul ka hum ne nahin liya rukhsar muntazir rahe lab bhi jabin bhi ghar le liya hai ain tere ghar ke samne aur ek kharid laya hun main durbin bhi sab kaam ho rahe hain ajib is qadar ajib likhne se pahle sochte hain katbin bhi ek shokh-o-shang tifl chhupa hai darun-e-dil sanjida lag raha hun ba-zahir matin bhi aankhon mein jis ki rahm ho hathon mein rotiyan wo shakhs muflison ka dharam bhi hai din bhi insaniyat ke jism pe chand aise dagh hain jin par hai sharmsar falak aur zamin bhi hanste hue marega koi dil gazida shakhs aaega is darame ke andar wo sin bhi ashaar gar safar na karen dil se dil talak dete nahin hain dad 'qamar' samain bhi