chahaton ka silsila hai mustaqil sabz mausam karb ka hai mustaqil kya bataun dil mein kis ki yaad ka ek kanta chubh raha hai mustaqil badh raha hai mustaqil qaht-e-shajar zahr-aluda faza hai mustaqil rah-e-ulfat mein kahan aasaniyan pur-khatar ye rasta hai mustaqil aa gai hai fasl-e-azadi magar khauf ka pauda hara hai mustaqil dushmani ke sab dariche band hain dosti ka dar khula hai mustaqil ishq ke ek timtimate dip ne dil ko raushan kar rakha hai mustaqil ek mausam ki kasak hai dil mein dafn mitha mitha dard sa hai mustaqil zehn o dil ki wadi-e-pur-amn mein gunjti kis ki sada hai mustaqil dekh kar rasm-e-wafa is daur ki sharmgin harf-e-wafa hai mustaqil gham kisi ka ho gaya 'raghib' nasib warna is duniya mein kya hai mustaqil