aaj phir band-o-salasil ka khayal aaya hai zulf-e-pur-pech ka aur dil ka khayal aaya hai phir bagule hain rawan bahr-e-qadam-bosi-e-shauq qais ko laili-e-mahmil ka khayal aaya hai phir mah-e-gumbad-e-gardan se lagi hai bazi hum ko apne mah-e-kaamil ka khayal aaya hai aaj phir aankh se tapka hai koi qatra-e-khun baad muddat hamein phir dil ka khayal aaya hai karwan shauq ka hai paik-e-nazar se aage dur se qurbat-e-manzil ka khayal aaya hai dil ko us but se hai phir ajr-e-wafa ki ummid sai-e-be-sud mein hasil ka khayal aaya hai bandh kar dashna-o-khanjar jo nikal aae ho aaj kya phir kisi bismil ka khayal aaya hai