chahaton ki jo dil ko aadat hai

chahaton ki jo dil ko aadat hai
ye bhi insan ki ek zarurat hai

hum farishte kahan se ban jaen
ishq insan ki jibillat hai

kaun aaya hai kaun aaega
be-sabab jagne ki aadat hai

kya milenge jo kho gae ek bar
bhid mein dhundhna qayamat hai

un ke andaz dushmani mein bhi
dosti ki ajab shabahat hai

mere andar jo mera dushman hai
hu-ba-hu wo meri hi surat hai

un ke wadon se ye hua malum
jhut sab se badi sadaqat hai

is qadar dur kyun nikal aae
ab to ghar lautna qayamat hai

un ke lahje mein un ki baaton mein
chandni-raat ki sabahat hai

ye kahani bhi khub hai yaro
har jagah ek si ibarat hai

'wajd' yaadon mein un ki gham rahna
rahaton ki hazar rahat hai

kis liye 'wajd' dil-girafta ho
dushmani doston ki aadat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close