chahe ghar mein rok de ya rahguzar mein rok de wo jise chahe use aadhe safar mein rok de ye agar bahar gain to khamushi chha jaegi meri aawazen mere diwar-o-dar mein rok de nakhuda us jal-pari ke pas pahuncha de mujhe ya to us kashti ko le ja kar bhanwar mein rok de chand qadmon par badal jate hain mere ham-safar ai khuda koi nazara to nazar mein rok de us ki aamad se makan-e-dil bahut shadab hai aur kuchh din is nae mehman ko ghar mein rok de