chahe hamara zikr kisi bhi zaban mein ho kuchh hasraton ki baat bhi rasm-e-bayan mein ho aae to is waqar se ab ke azab-e-hijr sharminda ye bahaar bhi ab ke khizan mein ho rakkha hai zindagi ko bhi har haal mein aziz jab ki azab-e-zist bhi apne guman mein ho niklun teri talash mein jab aasaman par sadma mere khayal ko donon jahan mein ho rasm-e-junun ka bab hai awwal o aakhiri likkha nisab-e-dil to kisi bhi zaban mein ho ye tera husn-e-zan tha ki dil kaam aa gaya warna to is ka zikr bhi kar-e-ziyan mein ho kuchh log the safar mein magar ham-zaban na the hai lutf guftugu ka jo apni zaban mein ho baitha hun dur sae se is waste 'said' aasudgi safar ki usi imtihan mein ho