fasil-e-zat mein dar to teri inayat hai par is mein aamad-e-wahshat meri izafat hai jab aaine dar-o-diwar par nikal aaen to shahr-e-zat mein rahna bhi ek qayamat hai main apne sare sawalon ke jaanta hun jawab mera sawal mere zehn ki shararat hai zara si der to mausam ye aarzu ka rahe abhi bhi qalb o jigar mein zara hararat hai main apni zat se bahar nikal to aaya hun ab apne-ap se milne mein kya qabahat hai ye apna ghar main sar-e-rah le to aaya hun badal le rasta suraj to phir sarahat hai ye sar-zamin to dariyaon se bani hai 'said' ye aur baat ki pul se tumhein adawat hai