chahe jannat na mile chahe khudai na mile hai dua meri yahi tujh se judai na mile kaun si rah chuni tum ne mohabbat ke liye chal ke aa jao magar aabla-pai na mile sath tera ho agar maut bhi aae hamdam zist jo mujh ko mile tujh se parai na mile ajnabi apne hi ban jate hain jin se yaro nam ko mere kabhi aisi burai na mile jo badal dale meri baat ka matlab hi 'sahar' mere ashaar mein aisi bhi safai na mile