har gam zindagi mein ajab sanehe hue apne parae jaanchne ke tajarbe hue ek diary purani mere hath kya lagi yaadon ke zard ped yakayak hare hue ai dil sambhaal zabt ki pushte laraz uthe ankhon se bah na jaen ye dariya ruke hue aankhon mein dekh shahr-e-khamoshan ka sa sukut palkon pe dekh gham ke fasane likhe hue 'bilqis' ek charagh sar-e-rah kya rakha basti ke har makan hi mein tabsire hue