chahe jitna sath nibha lo phir bhi bichhadna padta hai zahr-e-judai ro kar ya phir hans kar pina padta hai dushman par ye jaan nichhawar karni bhi pad sakti hai baz auqat to apni jaan ka dushman hona padta hai jaane wale kab rukte hain ruk bhi jaen to kab tak jo jo duniya mein aata hai us ko jaana padta hai do-dhaari talwar hai duniya tez hain us ke donon rukh ashk chhupa kar rona mushkil lekin rona padta hai kitne rog mohabbat wale logon ko kha jate hain dukh jiwan ka sathi hai jo sab ko sahna padta hai ek mohabbat ka jazba jo lafzon ka muhtaj nahin lekin phir bhi kabhi kabhi ye lafz bhi kahna padta hai