chahe jo haal bhi ho un ki nazar hone tak hum jiye jaenge aahon mein asar hone tak be-khudi nam hai ehsas-e-khudi ka shayad warna kuchh aur tha mansur khabar hone tak sabr se kaam le ai dil is andhere se na dar zulmat-e-shab hai sapedi-e-sahar hone tak jab jo chahen wo kahen apne ko waiz lekin bartari mujh ko to hasil hai bashar hone tak hae wo husn-e-yaqin aah wo ummid-e-karam muntazir tha tera bimar sahar hone tak yun to jina hai ba-har-haal magar ai 'asi' zindagi asl mein hai soz-e-jigar hone tak