hum se karte ho bayan ghairon ki yari aan kar rah gai hai aap ki ye dost-dari aan kar hum ko aane se tumhaari bazm ke kya tha husul dekh lete the magar surat tumhaari aan kar ruthne par mere kya lazim tha ho jaana khafa balki karni thi tumhein khatir hamari aan kar tan-e-bad-khwahan se tu ik-dam na pawega qarar ki jo tere dar pe hum ne be-qarari aan kar tha agarche ghash mein majnun lekin aankhen khul gain sar pe us ke jis ghadi laila pukari aan kar jis jigar-kushta ka tere lasha tha khun mein pada khub sa roya wahan abr-e-bahaari aan kar main bhi kya bargashta-talea hun ki 'tanha' raat ko phir gai dar tak mere us ki sawari aan kar