chahi thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam kya husn tha ki aankh lagi saya ho gaya wo sadgi ki mar, haya kam bahut hi kam the dusre bhi teri mohabbat ke aas-pas dil ko magar sukun mila kam bahut hi kam jalte suna charagh se daman hazar bar daman se kab charagh jala kam bahut hi kam ab ruh kanpti hai ajal hai qarib-tar ai ham-nasib naz-o-ada kam bahut hi kam yun mat kaho 'khizan' ki bahut der ho gai hain aaj-kal wo tum se khafa kam bahut hi kam