ganw se guzrega aur mitti ke ghar le jaega ek din dariya sabhi diwar o dar le jaega ghar ki tanhai mein yun mahsus hota hai mujhe jaise koi mujh ko mujh se chhin kar le jaega kaun dega us ko meri tah-nashini ka pata kaun mere dub jaane ki khabar le jaega aaine viran-nigahi ka sabab ban jaenge khud-pasandi ka junun tab-e-nazar le jaega subh ke sine se phutegi shua-e-mehr-e-nau sab andhere raat ke dast-e-sahar le jaega jazba-e-johd-e-musalsal hai bina-e-zindagi ye gaya to sara jine ka hunar le jaega