chahiye parhez-e-gardish chashm-e-shoKH-e-yar ko

chahiye parhez-e-gardish chashm-e-shokh-e-yar ko
ghumne se jab ziyan hai mardum-e-bimar ko

hun mariz-e-ishq hai ye dard mera la-dawa
hogi sehhat kya masiha se tere bimar ko

nawak-e-be-par agar hai us ki mizhgan-e-daraaz
qaus kyon samjhe na aashiq abru-e-khamdar ko

meri hi nafrat ne ki ulfat raqibon se siwa
wasl ki daulat mayassar kyon na ho aghyar ko

sham-e-ghurbat hijr mein to wasl mein subh-e-watan
dekhta hun apne ghar mein saya-e-diwar ko

kya qayamat hai daraazi-e-shab-e-yalda-e-hijr
roz-e-mahshar par jo rakkha wada-e-didar ko

ek dirham ki ise khwahish to lakhon ki use
shukr muflis se ziyaada hai kahin zardar ko

naqd-e-jaan de kar zulekha ne liya sauda-e-ishq
husn-e-yusuf ki jo dekha garmi-e-bazar ko

ibn-e-adam se bhi chhini ishq hi ne saltanat
kar diya muhtaj isi ne malik-e-dinar ko

is zamane mein badi hoti hai zardaron ki qadr
puchhta hai kaun 'ajiz' muflis-e-nadar ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close