chahiyen mujh ko nahin zarrin qafas ki putliyan aashiyan jaanun jo howen khar-o-khas ki putliyan ho gain be-rang jab agle baras ki putliyan khun ro kar hum ne kin rangin qafas ki putliyan hai ye fauladi qafas mujh na-tawan ka kya karun kis tarah todun nahin hain mere bas ki putliyan kya khuda ki shan hai aati hai jab fasl-e-bahaar sab hari ho jati hain mere qafas ki putliyan jab kabhi kunj-e-qafas mein ki hai main ne aah-e-garm mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyan ghar qafas ko main samajhta hun asiri ko murad jaanta hun apni aahon ko hawas ki putliyan patriyan mere qafas ki shakh-e-gul se kam nahin loch ye dekha na dekhin aisi ras ki putliyan gunjne lagta hai ye bhi jab fughan karta hun main nasb hain mere qafas mein kya jaras ki putliyan dekhiye shauq-e-asiri mein jakadne ke liye ho gain resham ka lachha sab qafas ki putliyan ro rahi hai dekh kar laila jo us ko ai 'sharaf' pasliyan majnun ki hain mere qafas ki putliyan