pesh aane lage hain nafrat se bhar gaya un ka dil mohabbat se faeda ye hai teri qurbat se khub katta hai waqt rahat se kaam bante nahin hain nafrat se kaam chalte hain sab mohabbat se un ki khatir mujhe jahan wale dekhte hain badi hiqarat se zindagi meri ek musibat thi mil gae aap mujh ko qismat se sari duniya harif hai meri ek zara si teri inayat se kya khabar thi ki waqt padte hi hath utha lenge wo mohabbat se wo shab-e-wasl bhi to pahlu mein baz aate nahin shararat se dil ko chaska pada hai kuchh aisa baz aata nahin mohabbat se kaamrani ke waste 'afzal' kaam lena padega himmat se