chahta hai koi wada na wafa chahta hai koi ja kar use puchhe ki wo kya chahta hai yun to sab kar-e-ziyan hai magar ai kar-e-junun dil ne ek umr jo chaha wo hua chahta hai ye tera husn ye khushbu ye hawa-e-qurbat main nahin chahta ye wasl khuda chahta hai nind aisi hai ki mismar hui chahti hai khwab aisa hai ki tabir hua chahta hai kaun hai jo mujhe girya nahin karne deta kaun hai jo meri aankhon ka bura chahta hai