dar-e-imkan khula rakkha hua hai hatheli par diya rakkha hua hai nahin rakkha kisi ne dil hamara to sine se laga rakkha hua hai koi duniya yahan la kar na rakkhe jahan main ne khuda rakkha hua hai zara chhu kar mujhe mahsus kar lo meri baaton mein kya rakkha hua hai yahan ek aaina rakkha tha pahle jahan khauf-e-khuda rakkha hua hai