chahta hun pahle khud-bini se maut aae mujhe aap ko dekhun khuda wo din na dikhlae mujhe aas kya ab to ummid-e-na-ummidi bhi nahin kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe dil dhadakta hai shab-e-gham mein kahin aisa na ho marg bhi ban kar mizaj-e-yar tarsae mujhe le chalo lillah koi khizr-e-mina ke huzur aalam-e-gum-gashtagi ki rah batlae mujhe ab to josh-e-arzu 'taslim' kahta hai yahi rauza-e-shah-e-najaf-allah dikhlae mujhe