ishq ko tark-e-junun se kya gharaz charkh-e-gardan ko sukun se kya gharaz dil mein hai ai khizr gar sidaq-e-talab rah-rau ko rah-numon se kya gharaz hajiyo hai hum ko ghar wale se kaam ghar ke mehrab o sutun se kya gharaz gunguna kar aap ro padte hain jo un ko chang o arghanun se kya gharaz nek kahna nek jis ko dekhna hum ko taftish-e-darun se kya gharaz dost hain jab zakhm-e-dil se be-khabar un ko apne ashk-e-khun se kya gharaz ishq se hai mujtanib zahid abas sher ko said-e-zabun se kya gharaz kar chuka jab shaikh taskhir-e-qulub ab use duniya-e-dun se kya gharaz aae ho 'haali' pae-taslim yan aap ko chun-o-chagun se kya gharaz