chahti hai aakhir kya aagahi khuda-malum kitne rang badlegi zindagi khuda-malum kal to khair ai rahbar tere sath rahraw the aaj kis pe hansti hai gumrahi khuda-malum ab bhi subh hoti hai ab bhi din nikalta hai ja chhipi kahan lekin raushni khuda-malum rasti gurezan hai aashti hirasan hai kis se kis se uljhega aadmi khuda-malum ab to waqt aaya hai dub kar ubharne ka kitni kashtiyan dubin aur abhi khuda-malum zauq-e-naghma-e-pairai tu hi badh ke de aawaz kab se gharq-e-hairat hai khamushi khuda-malum sirf bhik mangi thi hum ne aadamiyat ki kyun biphar gae 'yaqub' muddai khuda-malum