darun-e-halqa-e-zanjir hun main shikasta khwab ki tabir hun main mujhe hairat se yun wo tak raha hai ki jaise main nahin taswir hun main meri baaten to zahrili bahut hain magar tiryak ki tasir hun main main zinda hun hisar-e-behisi mein mohabbat ki nai tafsir hun main ek aaina bhi hun aur aks bhi hun ki shahr-e-sang ka rah-gir hun main namaz-e-shab ka sajda hun 'tasawwur' azan-e-subh ki takbir hun main