chain dam bhar ko sar-e-sham kahan hota hai

chain dam bhar ko sar-e-sham kahan hota hai
dil sulagta ho to aaram kahan hota hai

nargis-e-naz se jo mujh ko ata hota tha
ab mere hisse mein wo jam kahan hota hai

apni himmat hi se hoti hai shikayat mujh ko
shikwa-e-gardish-e-ayyam kahan hota hai

pyar wo khel nahin jis ka ho anjam ba-khair
dil magar waqif-e-anjam kahan hota hai

aadatan sham ko uth jati hain meri nazren
aur wo chand sar-e-baam kahan hota hai

dil hi dil mein main tera nam liya karta hun
mere honton pe tera nam kahan hota hai

rah-e-dushwar-e-wafa zer-e-qadam hai lekin
hausla dil ko bahar-gam kahan hota hai

iltifat ek bada wasf hai sab jaante hain
ye magar shewa-e-asnam kahan hota hai

kis ko milti hai yahan husn-shanasi yaro
tohfa-e-zauq-e-nazar aam kahan hota hai

kuchh khabar hai tujhe 'maghmum' ki tujh sa shair
lakh gumnam ho gumnam kahan hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close