choT gahri mujhe lagi to nahin

chot gahri mujhe lagi to nahin
dil ki haalat kabhi chhupi to nahin

hasil-e-nutq khamushi to nahin
kahin mearaj-e-gham yahi to nahin

shad rahna hi jaise bhul gae
ashk pina koi hansi to nahin

phul ko phul kar diya jis ne
ashk-e-shabnam ki tazgi to nahin

ahl-e-duniya ki sard-mehri se
barf jazbaat par jami to nahin

is zamane mein zindagi karna
dosto koi dil-lagi to nahin

jo khatakti hai har jagah mujh ko
kahin teri hi wo kami to nahin

samne un ke aur gustakhi
ghalati mujh se ye hui to nahin

sabab-e-na-rasai-e-manzil
apni kotah-himmati to nahin

tum jise tirgi samajhte ho
pas hi ki wo tirgi to nahin

gumrahi mein maze hon lakh magar
gumrahi manzil-agahi to nahin

main nahin shaki-e-khamoshi-e-bazm
achchhe sheron pe dad bhi to nahin

shayad aa jaen phul phal is mein
shakh-e-ummid abhi jali to nahin

ye tassub junun ye mazhab ka
asl-e-iman-o-agahi to nahin

aae din fitne aur hangame
ye siyasat ki abtari to nahin

sharpasandi ki aandhiyon se bhi
shama-e-insaniyat bujhi to nahin

jis se rahta hun raat-din sarshaar
ilm-o-fan ki ye be-khudi to nahin

dost kyon dosti ko bhul gae
dosti koi dushmani to nahin

ye mazaq-e-jadidiyat tauba
taba-e-shaer ki aajizi to nahin

na zaban ka na kuchh bayan ka lutf
shaeri aaj be-tuki to nahin

aam baaten ghazal mein kah di hain
hum ne kuchh khas baat ki to nahin

is zamin mein bhi sach bata 'maghmum'
taba teri kahin ruki to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close