chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin

chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin
dagh hain ye gul nahin nasur hain akhtar nahin

sar rahe ya jae kuchh hum mai-kashon ko dar nahin
kaun sa mina-e-mai ai mohtasib be-sar nahin

wo but-e-shirin-ada karta hai mujh ko sangsar
ye shakar-pare baraste hain junun patthar nahin

ho raha hai ek aalam tere abru par nisar
kaun gardan hai jahan mein jo tah-e-khanjar nahin

dam nikalne par jo aata hai nahin rukta hai phir
dekh lo qasr-e-habab ai ahl-e-ghaflat dar nahin

aadmi to kya wo kahta hai nishan-e-pa se bhi
kyun pada hai mere kuche mein tera kya ghar nahin

ai tasawwur kyun buton ko jama karta hai yahan
dil mera kaba hai kuchh but-khana-e-azar nahin

shikwa jo be-naukri ka karte hain nadan hain
aap aaqa hai kisi ka jo koi naukar nahin

hai kharabaat-e-jahan mein bhi wo saqi se nufur
jo ki ai 'nasikh' ghulam-e-saqi-e-kausar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close