dard-e-dil kaun aazmata hai kaun be-chainiyan badhata hai raat bhar jagte rahe ho tum jaane kya gham tumhein satata hai hanste hanste jo rone lagte ho kuchh kaho kaun yaad aata hai jis nujumi ne thi hatheli padhi kya muqaddar bhi wo jagata hai jise karna ho koi wada-wafa to wo phir laut kar bhi aata hai kucha-e-husn to gaya salim par ye dil tut kar hi aata hai man leti hun us ka kahna bhi jaane phir ruth ke kyon jata hai