chain ghar mein na kabhi tere nagar mein paun khud ko har lamha main ek lambe safar mein paun koi aawaz na saya na hawa mein halchal mo'tariz soch mein kya baith ke ghar mein paun tu kabhi phul kabhi chandni tha mere liye ab tujhe pairhan-e-barq-o-sharar mein paun main kahin jism kahin aur meri ruh kahin khud ko bikhra hua har rahguzar mein paun mujh se har lamha koi jurm naya hota hai ek na ek hadisa har taza khabar mein paun main gawahi pe to tayyar hun khud apne khilaf waqat-e-adl jo munsif ki nazar mein paun